Jindagi gar sangharsh hai.
To jindagi se harsh kyu ?
Jindagi gar dard hai.
To jindagi se hamdard kyu ?
Jindagi gar bair hai.
To jindagi ki khair kyu ?
Jindagi gar ilaj lailaaj hai..
To jindagi ka elaj kyu ?
Jindagi gar bandagi hai.
To jindagi se darindagi kyu ?
Jindagi gar mit hai.
To jindagi se jit kyu ?
Jindagi gar aash hai.
To jindagi se nirash kyu ?
Comments
Post a Comment